un se milne ki iltija ki hai
un se milne kī iltijā kī hai
dil-e-nādāñ ne ye ḳhatā kī hai
maiñ khiñchā jā rahā huuñ us kī taraf
ye kashish husn-e-fitna-zā kī hai
ḳhud-farebī meñ mubtalā rakh kar
zulm kī tum ne intihā kī hai
qaul aur fe.al meñ tazād ravā
baat kuchh pīr-e-pārsā kī hai
daur-e-hāzir ke peshvāoñ meñ
ḳhvāhish-e-sīm-o-zar balā kī hai
jiite jī maġhfirat kā ḳhvāhāñ huuñ
baat ab zahmat-e-duā kī hai
ye man-o-tū kī kār-farmā.ī
zehn-e-ādam ne jā-ba-jā kī hai
maqsad-e-zindagī samajh baiThā
chashm-e-bīnā jo us ne vā kī hai
jhuk rahī hai 'azīm' apnī jabīñ
ye karāmat to naqsh-e-pā kī hai
un se milne ki iltija ki hai
dil-e-nadan ne ye KHata ki hai
main khincha ja raha hun us ki taraf
ye kashish husn-e-fitna-za ki hai
KHud-farebi mein mubtala rakh kar
zulm ki tum ne intiha ki hai
qaul aur feal mein tazad rawa
baat kuchh pir-e-parsa ki hai
daur-e-hazir ke peshwaon mein
KHwahish-e-sim-o-zar bala ki hai
jite ji maghfirat ka KHwahan hun
baat ab zahmat-e-dua ki hai
ye man-o-tu ki kar-farmai
zehn-e-adam ne ja-ba-ja ki hai
maqsad-e-zindagi samajh baiTha
chashm-e-bina jo us ne wa ki hai
jhuk rahi hai 'azim' apni jabin
ye karamat to naqsh-e-pa ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.