un se pahli si mulaqat nahin hoti hai
un se pahlī sī mulāqāt nahīñ hotī hai
nazreñ miltī haiñ magar baat nahīñ hotī hai
dil-jaloñ ke liye ghabrā ke ġham-e-furqat se
jaan de denā baḌī baat nahīñ hotī hai
mil gayā mujh ko jo milnā thā tirī ulfat meñ
ġham se baḌh kar koī sauġhāt nahīñ hotī hai
mujh ko le chal dil-e-betāb vahāñ par ki jahāñ
din hī rahtā hai aur raat nahīñ hotī hai
tāḌne kā nahīñ tum hī ko salīqa varna
kab nazar hā.il-e-jazbāt nahīñ hotī hai
jaan denā jise aatā ho rah-e-ulfat meñ
us kī qismat meñ kabhī maat nahīñ hotī hai
din to kaT jaatā hai furqat kā magar ai 'sāhir'
kisī sūrat se basar raat nahīñ hotī hai
un se pahli si mulaqat nahin hoti hai
nazren milti hain magar baat nahin hoti hai
dil-jalon ke liye ghabra ke gham-e-furqat se
jaan de dena baDi baat nahin hoti hai
mil gaya mujh ko jo milna tha teri ulfat mein
gham se baDh kar koi saughat nahin hoti hai
mujh ko le chal dil-e-betab wahan par ki jahan
din hi rahta hai aur raat nahin hoti hai
taDne ka nahin tum hi ko saliqa warna
kab nazar hail-e-jazbaat nahin hoti hai
jaan dena jise aata ho rah-e-ulfat mein
us ki qismat mein kabhi mat nahin hoti hai
din to kaT jata hai furqat ka magar ai 'sahir'
kisi surat se basar raat nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.