un se puchho kyon aate hain humse patthar khane log
un se puchho kyon aate hain humse patthar khane log
Kausar Allahabadi
MORE BYKausar Allahabadi
un se pūchho kyoñ aate haiñ ham se patthar khāne log
ham se kuchh ummīd na rakkheñ ham to haiñ dīvāne log
jismoñ ke mābain hai ik taaza taaza dīvār magar
kaise kah duuñ ab haiñ parā.e ye jāne-pahchāne log
jaane kyā kyā aur dikhā.e aql kā ye andāz-e-junūñ
dil ko dil se kaaT rahe haiñ kab se kuchh farzāne log
dekhnā in kirchoñ se ab tum haath na zaḳhmī kar lenā
haañ kuchh aisī baat huī thī pheñk ga.e paimāne log
jab se sheva pīr-e-muġhāñ kā jāmoñ kī taḳhsīs banā
maiḳhāne se ik ik kar ke ruuTh ga.e dīvāne log
hotī jo ummīd zarā bhī hoñToñ ko tar karne kī
galiyoñ galiyoñ ḳhvār na phirte ho aate maiḳhāne log
bhiiḌ lagī thī raste raste jab tak sub.h ke saa.e the
dhuup baḌhī to ik ik kar ke baiTh ga.e sustāne log
jiite jī ahvāl kī pursish mashriq kā dastūr nahīñ
maut kī mīThī niiñd sulā kar aate haiñ ġham khāne log
Tīseñ sher meñ Dhaltī haiñ to hotā hai tanhā 'kausar'
lutf uThāne sheroñ se phir aate haiñ begāne log
un se puchho kyon aate hain hum se patthar khane log
hum se kuchh ummid na rakkhen hum to hain diwane log
jismon ke mabain hai ek taza taza diwar magar
kaise kah dun ab hain parae ye jaane-pahchane log
jaane kya kya aur dikhae aql ka ye andaz-e-junun
dil ko dil se kaT rahe hain kab se kuchh farzane log
dekhna in kirchon se ab tum hath na zaKHmi kar lena
han kuchh aisi baat hui thi phenk gae paimane log
jab se shewa pir-e-mughan ka jamon ki taKHsis bana
maiKHane se ek ek kar ke ruTh gae diwane log
hoti jo ummid zara bhi honTon ko tar karne ki
galiyon galiyon KHwar na phirte ho aate maiKHane log
bhiD lagi thi raste raste jab tak subh ke sae the
dhup baDhi to ek ek kar ke baiTh gae sustane log
jite ji ahwal ki pursish mashriq ka dastur nahin
maut ki miThi nind sula kar aate hain gham khane log
Tisen sher mein Dhalti hain to hota hai tanha 'kausar'
lutf uThane sheron se phir aate hain begane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.