un se shikwa bhi hai shikayat bhi
un se shikwa bhi hai shikayat bhi
Qazi Mustaqiimuddiin Sahar
MORE BYQazi Mustaqiimuddiin Sahar
un se shikva bhī hai shikāyat bhī
bāvajūd is ke un se ulfat bhī
kyā sila de ga.ī mohabbat bhī
chaak dāmāñ hai zor-e-vahshat bhī
koī tum sā nazar nahīñ aatā
lākhoñ dekhe haiñ ḳhūbsūrat bhī
aarzū thī ki dekhte jalva
rah ga.ī dil kī dil meñ hasrat bhī
ye zamāna ajab zamāna hai
sharm ruḳhsat huī hai ġhairat bhī
ab manā.eñ to kyā manā.eñ use
ham se rūThī huī hai qismat bhī
us mohabbat ke giit gaate ho
kho chukī hai jo qadr-o-qīmat bhī
ab mulāqāt ho to kyoñ ho 'sahar'
aap karte nahīñ haiñ zahmat bhī
un se shikwa bhi hai shikayat bhi
bawajud is ke un se ulfat bhi
kya sila de gai mohabbat bhi
chaak daman hai zor-e-wahshat bhi
koi tum sa nazar nahin aata
lakhon dekhe hain KHubsurat bhi
aarzu thi ki dekhte jalwa
rah gai dil ki dil mein hasrat bhi
ye zamana ajab zamana hai
sharm ruKHsat hui hai ghairat bhi
ab manaen to kya manaen use
hum se ruThi hui hai qismat bhi
us mohabbat ke git gate ho
kho chuki hai jo qadr-o-qimat bhi
ab mulaqat ho to kyon ho 'sahar'
aap karte nahin hain zahmat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.