un se tufan pareshan hua karte hain
un se tūfān pareshān huā karte haiñ
hausle jin ki bhī chaTTān huā karte haiñ
zaḳhm un ke liye mehmān huā karte haiñ
muflisī jo tire darbān huā karte haiñ
vo amīroñ ke liye 'aam sī bāteñ hoñgī
ham ġharīboñ ke jo armān huā karte haiñ
aise kāñdhe jo javāñ ḳhuun ko dafnā aa.e
jaan hote hue be-jān huā karte haiñ
'ain mumkin ye mirī maañ kī du'ā hai shāyad
mas.ale jo mire āsān huā karte haiñ
kis tarah phuul churāte haiñ churāne vaale
jin pe har vaqt nigahbān huā karte haiñ
māl-o-daulat to virāsat meñ milā kartī hai
achchhe aḳhlāq hī pahchān huā karte haiñ
un se tufan pareshan hua karte hain
hausle jin ki bhi chaTTan hua karte hain
zaKHm un ke liye mehman hua karte hain
muflisi jo tere darban hua karte hain
wo amiron ke liye 'am si baaten hongi
hum gharibon ke jo arman hua karte hain
aise kandhe jo jawan KHun ko dafna aae
jaan hote hue be-jaan hua karte hain
'ain mumkin ye meri man ki du'a hai shayad
masale jo mere aasan hua karte hain
kis tarah phul churaate hain churane wale
jin pe har waqt nigahban hua karte hain
mal-o-daulat to wirasat mein mila karti hai
achchhe aKHlaq hi pahchan hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.