ungli figar koi na KHun mein qalam hua
uñglī figār koī na ḳhuuñ meñ qalam huā
kab ham se apne dard kā qissa raqam huā
ro.e tamām umr magar is hunar ke saath
aañsū palak pe aayā na kāġhaz hī nam huā
ghar chhoḌ aa.e aap bhī achchhā kiyā huzūr
ye to junūñ kī raah meñ pahlā qadam huā
rah rah ke sar uThātī rahīñ kitnī ḳhvāhisheñ
in bāġhiyoñ meñ sar bhī kisī kā qalam huā
dekhā thā ḳhud ko maiñ ne tujhe dekhne ke ba.ad
ye to gunāh mujh se ḳhudā kī qasam huā
hai tarz-e-guftugū bhī vahī dost bhī vahī
dushman to merī jaan kā merā bharam huā
'fārūq' ab kisī se shikāyat kareñ to kyā
ham ko hī apne hone kā ehsās kam huā
ungli figar koi na KHun mein qalam hua
kab hum se apne dard ka qissa raqam hua
roe tamam umr magar is hunar ke sath
aansu palak pe aaya na kaghaz hi nam hua
ghar chhoD aae aap bhi achchha kiya huzur
ye to junun ki rah mein pahla qadam hua
rah rah ke sar uThati rahin kitni KHwahishen
in baghiyon mein sar bhi kisi ka qalam hua
dekha tha KHud ko main ne tujhe dekhne ke baad
ye to gunah mujh se KHuda ki qasam hua
hai tarz-e-guftugu bhi wahi dost bhi wahi
dushman to meri jaan ka mera bharam hua
'faruq' ab kisi se shikayat karen to kya
hum ko hi apne hone ka ehsas kam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.