ungliyan pher raha tha wo KHayalon mein kahin
uñgliyāñ pher rahā thā vo ḳhayāloñ meñ kahīñ
lams mahsūs huā hai mire bāloñ meñ kahīñ
ab mirā saath nahīñ detā piyāda dil kā
haar jā.ūñ na maiñ aa kar tirī chāloñ meñ kahīñ
is tashaḳhḳhus pe bhī rahtā hai ye dhaḌkā dil ko
kho na jā.ūñ maiñ tire chāhne vāloñ meñ kahīñ
ek sūraj ne mujhe chāñd kā rutba baḳhshā
varna hotī maiñ kitāboñ ke havāloñ meñ kahīñ
mujh ko lagtā to nahīñ vo mutazalzal lekin
is ko vahshat hī na le jaa.eñ ġhazāloñ meñ kahīñ
ungliyan pher raha tha wo KHayalon mein kahin
lams mahsus hua hai mere baalon mein kahin
ab mera sath nahin deta piyaada dil ka
haar jaun na main aa kar teri chaalon mein kahin
is tashaKHKHus pe bhi rahta hai ye dhaDka dil ko
kho na jaun main tere chahne walon mein kahin
ek suraj ne mujhe chand ka rutba baKHsha
warna hoti main kitabon ke hawalon mein kahin
mujh ko lagta to nahin wo mutazalzal lekin
is ko wahshat hi na le jaen ghazalon mein kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.