ungliyon se miTTi mein suraten banate ho
uñgliyoñ se miTTī meñ sūrateñ banāte ho
ik jahāñ banāte ho ik jahāñ miTāte ho
ḳhaak se dobāra kyā āsmāñ banā loge
āsmāñ ko tum aise ḳhaak meñ milāte ho
kyā azal se pahle thā kyā abad se aage hai
dekhte haiñ ye parda kab kahāñ girāte ho
kār-gāh-e-hastī meñ jab fanā muqaddar hai
phir fanā ke aalam ko kaise bhuul jaate ho
merī be-gharī kā bhī aaj mājrā sun lo
ūñche ūñche mahloñ kī dāstāñ sunāte ho
zaḳhm jin ko dete ho pattharoñ kī bārish se
pairahan se kyuuñ un ke phir alam banāte ho
munsifī ke aa.iiñ ko tum ne hī to likkhā hai
sar jo jhuk nahīñ saktā us ko kaaT laate ho
ungliyon se miTTi mein suraten banate ho
ek jahan banate ho ek jahan miTate ho
KHak se dobara kya aasman bana loge
aasman ko tum aise KHak mein milate ho
kya azal se pahle tha kya abad se aage hai
dekhte hain ye parda kab kahan giraate ho
kar-gah-e-hasti mein jab fana muqaddar hai
phir fana ke aalam ko kaise bhul jate ho
meri be-ghari ka bhi aaj majra sun lo
unche unche mahlon ki dastan sunate ho
zaKHm jin ko dete ho pattharon ki barish se
pairahan se kyun un ke phir alam banate ho
munsifi ke aain ko tum ne hi to likkha hai
sar jo jhuk nahin sakta us ko kaT late ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.