unhen batao jo kahte hain kya bacha mere pas
unheñ batāo jo kahte haiñ kyā bachā mire paas
har ek chiiz luTā kar ḳhudā bachā mire paas
uThāne vaale uThā le ga.e ḳhazīna-e-zar
maiñ ḳhush-nasīb huuñ raḳht-e-duā bachā mire paas
ka.ī samā.ateñ ḳhā.if haiñ is liye mujh se
sukūt-e-shahr meñ sañg-e-sadā bachā mire paas
maiñ dushmanoñ ke liye bhī to fikrmand nahīñ
ki ḳhair-ḳhvāh bhī ab kaun sā bachā mire paas
zabāñ khule to bharam dostī kā jaatā hai
ḳhamosh huuñ ki yahī rāstā bachā mire paas
zamāna us pe bhī nārāz hai ki le de kar
havāla sirf tire naam kā bachā mire paas
unhen batao jo kahte hain kya bacha mere pas
har ek chiz luTa kar KHuda bacha mere pas
uThane wale uTha le gae KHazina-e-zar
main KHush-nasib hun raKHt-e-dua bacha mere pas
kai samaaten KHaif hain is liye mujh se
sukut-e-shahr mein sang-e-sada bacha mere pas
main dushmanon ke liye bhi to fikrmand nahin
ki KHair-KHwah bhi ab kaun sa bacha mere pas
zaban khule to bharam dosti ka jata hai
KHamosh hun ki yahi rasta bacha mere pas
zamana us pe bhi naraaz hai ki le de kar
hawala sirf tere nam ka bacha mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.