unhen kya ilm jo hum ko yahan samjhane aae hain
unhen kya ilm jo hum ko yahan samjhane aae hain
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
unheñ kyā ilm jo ham ko yahāñ samjhāne aa.e haiñ
ki ham dair-o-haram hote hue maiḳhāne aa.e haiñ
unheñ bhī dekh aa.eñ ik nazar mujh se farmā.eñ
unhīñ par chhoḌtā huuñ jo mujhe samjhāne aa.e haiñ
hameñ pūchho surūr un kā ki ye saaqī kī mast āñkheñ
hamāre zarf se naape hue paimāne aa.e haiñ
agar aa.e haiñ nāseh aa.eñ lekin ye to farmā deñ
samajhne aa.e haiñ ḳhud yā hameñ samjhāne aa.e haiñ
baḌhā chal shauq se ai ishq ke raahī ki is rah par
kahīñ bastī bhī aa.egī agar vīrāne aa.e haiñ
mai-e-gul-gūñ hai saaqī hai 'sahar' vaa.iz se kahtā hai
abhī farmā.eñ mujh se aap jo farmāne aa.e haiñ
unhen kya ilm jo hum ko yahan samjhane aae hain
ki hum dair-o-haram hote hue maiKHane aae hain
unhen bhi dekh aaen ek nazar mujh se farmaen
unhin par chhoDta hun jo mujhe samjhane aae hain
hamein puchho surur un ka ki ye saqi ki mast aankhen
hamare zarf se nape hue paimane aae hain
agar aae hain naseh aaen lekin ye to farma den
samajhne aae hain KHud ya hamein samjhane aae hain
baDha chal shauq se ai ishq ke rahi ki is rah par
kahin basti bhi aaegi agar virane aae hain
mai-e-gul-gun hai saqi hai 'sahar' waiz se kahta hai
abhi farmaen mujh se aap jo farmane aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.