unhin baaton se uski KHu bigDi
unhīñ bātoñ se us kī ḳhū bigḌī
kabhū ham se banī kabhū bigḌī
kyuuñ gilā ġhair kā kiyā jaa.e
muft us se pa.e adū bigḌī
hijr meñ haar kar jo sabr kiyā
vasl kī ham se aarzū bigḌī
chain se dil to us ke saath gayā
jaan āfat-rasīda tū bigḌī
qadr-e-gauhar hai aab se 'tanvīr'
phir rahā kyā jab aabrū bigḌī
unhin baaton se us ki KHu bigDi
kabhu hum se bani kabhu bigDi
kyun gila ghair ka kiya jae
muft us se pae adu bigDi
hijr mein haar kar jo sabr kiya
wasl ki hum se aarzu bigDi
chain se dil to us ke sath gaya
jaan aafat-rasida tu bigDi
qadr-e-gauhar hai aab se 'tanwir'
phir raha kya jab aabru bigDi
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.