uqab-e-fikr akela hai barf-zaron mein
uqāb-e-fikr akelā hai barf-zāroñ meñ
ki chāñd jaaḌe kā jaise larazte tāroñ meñ
vo aañkh noch de jis ko bharī bahāroñ meñ
lahū kā rang nazar aa.e ābshāroñ meñ
chalā hai qāfila-e-āshiqāñ ki shola-ruḳhāñ
dabī dabī sī haiñ chingāriyāñ ġhubāroñ meñ
sambhal gayā mirā girtā badan uThā ke tujhe
maiñ phir chalā huuñ phisalte hue dayāroñ meñ
sukūt-e-fikr ke 'unvāñ pe baat chal niklī
ik aisā she'r paḌh aa.e haiñ shahr-yāroñ meñ
uqab-e-fikr akela hai barf-zaron mein
ki chand jaDe ka jaise larazte taron mein
wo aankh noch de jis ko bhari bahaaron mein
lahu ka rang nazar aae aabshaaron mein
chala hai qafila-e-ashiqan ki shola-ruKHan
dabi dabi si hain chingariyan ghubaron mein
sambhal gaya mera girta badan uTha ke tujhe
main phir chala hun phisalte hue dayaron mein
sukut-e-fikr ke 'unwan pe baat chal nikli
ek aisa she'r paDh aae hain shahr-yaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.