‘uqde khule na mujh pe tere KHad-o-Khaal ke
‘uqde khule na mujh pe tire ḳhad-o-ḳhāl ke
har saañs chal diyā mujhe uljhan meñ Daal ke
jo ḳhud gañvā chukā hai kahīñ 'umr-e-mo'tabar
vo kyā hisāb degā mire māh-o-sāl ke
aa.e the merī bazm meñ kuchh jam sifāt log
jalve na kam hue mire jām-e-sifāl ke
maiñ kyā huuñ sirf itnā hī pūchhā thā ek din
kitne javāb degā mujhe is savāl ke
āñdhī kī tarh aa ke chalā bhī gayā kahīñ
kankar sā koī vo mirī āñkhoñ meñ Daal ke
jo bhī milā thā daulat-e-dil us pe vaar dī
rakkhā na koī maiñ ne ḳhazāna sañbhāl ke
vo aane vaale vaqt ke tevar samajh gayā
maiñ rishte joḌtī rahī maazī ke haal ke
‘uqde khule na mujh pe tere KHad-o-KHal ke
har sans chal diya mujhe uljhan mein Dal ke
jo KHud ganwa chuka hai kahin 'umr-e-mo'tabar
wo kya hisab dega mere mah-o-sal ke
aae the meri bazm mein kuchh jam sifat log
jalwe na kam hue mere jam-e-sifal ke
main kya hun sirf itna hi puchha tha ek din
kitne jawab dega mujhe is sawal ke
aandhi ki tarh aa ke chala bhi gaya kahin
kankar sa koi wo meri aankhon mein Dal ke
jo bhi mila tha daulat-e-dil us pe war di
rakkha na koi main ne KHazana sanbhaal ke
wo aane wale waqt ke tewar samajh gaya
main rishte joDti rahi mazi ke haal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.