urdi-o-dai se pare sud-o-ziyan se aage
urdī-o-dai se pare sūd-o-ziyāñ se aage
aao chal nikleñ kahīñ qaid-e-zamāñ se aage
is ḳharābe meñ abas haiñ ġham-o-shādī donoñ
merī taskīn kā maskan hai makāñ se aage
āh-o-nāla hī sahī ahl-e-vafā kā maslak
ik maqām aur bhī aatā hai fuġhāñ se aage
daar tak saaf nazar aatā hai rishta dekheñ
phir kidhar jaate haiñ ushshāq vahāñ se aage
ḳhūn-ālūda kafan shāreh-e-sad-daftar-e-dil
tarz-e-iz.hār hai ik aur zabāñ se aage
fikr maflūj jo zindānī-e-aflāk rahe
tiir be-kār jo nikle na kamāñ se aage
thī bahut ḳhāna-ḳharābī ko hamārī ye umr
ik jahāñ aur bhī sunte haiñ yahāñ se aage
maiñ ki huuñ hāzir-o-maujūd ke vasvās meñ qaid
tū ki hai parda-nashīñ vahm-o-gumāñ se aage
urdi-o-dai se pare sud-o-ziyan se aage
aao chal niklen kahin qaid-e-zaman se aage
is KHarabe mein abas hain gham-o-shadi donon
meri taskin ka maskan hai makan se aage
aah-o-nala hi sahi ahl-e-wafa ka maslak
ek maqam aur bhi aata hai fughan se aage
dar tak saf nazar aata hai rishta dekhen
phir kidhar jate hain ushshaq wahan se aage
KHun-aluda kafan shaareh-e-sad-daftar-e-dil
tarz-e-izhaar hai ek aur zaban se aage
fikr mafluj jo zindani-e-aflak rahe
tir be-kar jo nikle na kaman se aage
thi bahut KHana-KHarabi ko hamari ye umr
ek jahan aur bhi sunte hain yahan se aage
main ki hun hazir-o-maujud ke waswas mein qaid
tu ki hai parda-nashin wahm-o-guman se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.