urdu ka namak jo khate hain urdu pe guzara karte hain
urdu ka namak jo khate hain urdu pe guzara karte hain
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
urdu kā namak jo khāte haiñ urdu pe guzārā karte haiñ
is baat kā dukh hai log vahī urdu se kinārā karte haiñ
mat dekh hiqārat se un ko andāza nahīñ hai tujh ko abhī
shabnam ke ye nanhe qatre bhī sho.ale ko sharārā karte haiñ
apnoñ se gila ham kyā karte hai riit purānī duniyā kī
jhaḌte haiñ shajar se patte jab panchhī bhī kinārā karte haiñ
mumkin hī nahīñ hai aa jaa.eñ qānūn ke panjoñ meñ mujrim
manzar meñ nahīñ rahte haiñ tumheñ vo sirf ishārā karte haiñ
urdu ka namak jo khate hain urdu pe guzara karte hain
is baat ka dukh hai log wahi urdu se kinara karte hain
mat dekh hiqarat se un ko andaza nahin hai tujh ko abhi
shabnam ke ye nanhe qatre bhi shoale ko sharara karte hain
apnon se gila hum kya karte hai rit purani duniya ki
jhaDte hain shajar se patte jab panchhi bhi kinara karte hain
mumkin hi nahin hai aa jaen qanun ke panjon mein mujrim
manzar mein nahin rahte hain tumhein wo sirf ishaara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.