uruj-e-dard-e-tamanna hai ab to aa jao
urūj-e-dard-e-tamannā hai ab to aa jaao
hamārā dil yahī kahtā hai ab to aa jaao
nahīñ hai sehn-e-gulistāñ meñ koī hañgāma
hujūm-e-shauq-e-tamannā hai ab to aa jaao
khile haiñ phuul ka.ī aarzū ke gulshan meñ
bas intizār tumhārā hai ab to aa jaao
kabhī kabhī to hasīñ chāñdnī bhī chubhtī hai
kiran kiran meñ añdherā hai ab to aa jaao
na jaane umr kahāñ ye tamām ho jaa.e
abhī hayāt kā lamha hai ab to aa jaao
ham apne dil ke añdheroñ se ḳhud pareshāñ the
charāġh-e-shauq jalāyā hai ab to aa jaao
na saath degī tumhārā bhī 'tāj' tanhā.ī
hamāre saath ye duniyā hai ab to aa jaao
uruj-e-dard-e-tamanna hai ab to aa jao
hamara dil yahi kahta hai ab to aa jao
nahin hai sehn-e-gulistan mein koi hangama
hujum-e-shauq-e-tamanna hai ab to aa jao
khile hain phul kai aarzu ke gulshan mein
bas intizar tumhaara hai ab to aa jao
kabhi kabhi to hasin chandni bhi chubhti hai
kiran kiran mein andhera hai ab to aa jao
na jaane umr kahan ye tamam ho jae
abhi hayat ka lamha hai ab to aa jao
hum apne dil ke andheron se KHud pareshan the
charagh-e-shauq jalaya hai ab to aa jao
na sath degi tumhaara bhi 'taj' tanhai
hamare sath ye duniya hai ab to aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.