uruj ke liye izzat luTani paDti hai
'urūj ke liye 'izzat luTānī paḌtī hai
isī liye to use muñh kī khānī paḌtī hai
ye vo jahāñ hai dikhāve kī ahmiyat hai jahāñ
ḳhulūs kī yahāñ qīmat chukānī paḌtī hai
savāl apnī anā kā jahāñ bhī aa jaa.e
vahāñ pe sar nahīñ pagḌī bachānī paḌtī hai
rukā hai jo bhī vo apnī sifāt kho baiThā
davā bhī piine se pahle hilānī paḌtī hai
ye pārsā.ī bhī mehnat kā kaam hai yaaro
nigāh jhuktī nahīñ hai jhukānī paḌtī hai
ye soch kar ke ho bachchoñ kī zindagī raushan
hameñ ḳhud apnī tamanna jalānī paḌtī hai
tū mere naam ko miTTī meñ mat milā beTe
baḌe vuqūf se 'izzat kamānī paḌtī hai
adab kā fan yahāñ hāsil to baa'd meñ hogā
baḌoñ kī jūtiyāñ pahle uThānī paḌtī hai
'uruj ke liye 'izzat luTani paDti hai
isi liye to use munh ki khani paDti hai
ye wo jahan hai dikhawe ki ahmiyat hai jahan
KHulus ki yahan qimat chukani paDti hai
sawal apni ana ka jahan bhi aa jae
wahan pe sar nahin pagDi bachani paDti hai
ruka hai jo bhi wo apni sifat kho baiTha
dawa bhi pine se pahle hilani paDti hai
ye parsai bhi mehnat ka kaam hai yaro
nigah jhukti nahin hai jhukani paDti hai
ye soch kar ke ho bachchon ki zindagi raushan
hamein KHud apni tamanna jalani paDti hai
tu mere nam ko miTTi mein mat mila beTe
baDe wuquf se 'izzat kamani paDti hai
adab ka fan yahan hasil to ba'd mein hoga
baDon ki jutiyan pahle uThani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.