Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us bewafa ne lauT ke aana to hai nahin

Iqbal Rahi

us bewafa ne lauT ke aana to hai nahin

Iqbal Rahi

MORE BYIqbal Rahi

    us bevafā ne lauT ke aanā to hai nahīñ

    ab us ke paas koī bahāna to hai nahīñ

    mañDlā.eñ kyoñ na ye mire āñgan ke ās-pās

    in panchhiyoñ koī Thikāna to hai nahīñ

    kab tak tumhārī yaad meñ dāman bhigo.eñ ham

    āñkhoñ meñ āñsuoñ ḳhazāna to hai nahīñ

    jo baat bhī kareñge kareñge yaqīñ ke saath

    ham ne havā meñ tiir chalānā to hai nahīñ

    sharmā rahe ho kis liye lab kholte hue

    ab vo hamāre vaalā zamāna to hai nahīñ

    mahfil meñ husn mirā jaanā fuzūl hai

    tum vahāñ koī nazar aanā to hai nahīñ

    dil pe jo biitī hai sunāne fā.eda

    aañsū kisī aañkh meñ aanā to hai nahīñ

    is vāste maiñ tum se huā huuñ kināra-kash

    kashtī ko tum ne paar lagānā to hai nahīñ

    jitnī tumhārā dil kare utnī pilāo aaj

    is baar ham ne hosh meñ aanā to hai nahīñ

    'rāhī' vo is liye kabhī hote nahīñ ḳhafā

    vo jānte haiñ ham ne manānā to hai nahīñ

    us bewafa ne lauT ke aana to hai nahin

    ab us ke pas koi bahana to hai nahin

    manDlaen kyon na ye mere aangan ke aas-pas

    in panchhiyon ka koi Thikana to hai nahin

    kab tak tumhaari yaad mein daman bhigoen hum

    aankhon mein aansuon ka KHazana to hai nahin

    jo baat bhi karenge karenge yaqin ke sath

    hum ne hawa mein tir chalana to hai nahin

    sharma rahe ho kis liye lab kholte hue

    ab wo hamare wala zamana to hai nahin

    mahfil mein husn ki mera jaana fuzul hai

    tum sa wahan koi nazar aana to hai nahin

    dil pe jo biti hai sunane ka faeda

    aansu kisi ki aankh mein aana to hai nahin

    is waste main tum se hua hun kinara-kash

    kashti ko tum ne par lagana to hai nahin

    jitni tumhaara dil kare utni pilao aaj

    is bar hum ne hosh mein aana to hai nahin

    'rahi' wo is liye kabhi hote nahin KHafa

    wo jaante hain hum ne manana to hai nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now