Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us but ne gulabi jo uTha munh se lagai

Waliullah Muhib

us but ne gulabi jo uTha munh se lagai

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    us but ne gulābī jo uThā muñh se lagā.ī

    shīshe meñ ajab aan se jhamke thī ḳhudā.ī

    aalam meñ nashe ke shab-e-mahtāb ne tere

    ḳhurshīd se mukhḌe ne tilismāt dikhā.ī

    go ġhair se milne qasam khāte ho pyāre

    chhuptī nahīñ vo baat jo ho dil se banā.ī

    vallāh hameñ ishq sab bhuul huī chaal

    kāfir tirī raftār ne phir yaad dilā.ī

    har dam to bharā shīsha jhukātā hai nashe meñ

    Dartā huuñ ki terī na muḌak jaa.e kalā.ī

    ā.īna numū-posh huā ishq meñ tere

    chaar abaruoñ le ke faqīrāna safā.ī

    ham jhuuT kaheñ to na ho dīdār ḳhudā

    hai roz-e-qayāmat tirī ik shab judā.ī

    āshiq ko 'muhib' saltanat-e-har-do-jahāñ hai

    gar yaar ke kūche mayassar ho gadā.ī

    us but ne gulabi jo uTha munh se lagai

    shishe mein ajab aan se jhamke thi KHudai

    aalam mein nashe ke shab-e-mahtab ne tere

    KHurshid se mukhDe ne tilismat dikhai

    go ghair se milne ki qasam khate ho pyare

    chhupti nahin wo baat jo ho dil se banai

    wallah hamein ishq ki sab bhul hui chaal

    kafir teri raftar ne phir yaad dilai

    har dam to bhara shisha jhukata hai nashe mein

    Darta hun ki teri na muDak jae kalai

    aaina numu-posh hua ishq mein tere

    chaar abaruon ki le ke faqirana safai

    hum jhuT kahen to na ho didar KHuda ka

    hai roz-e-qayamat teri ek shab ki judai

    aashiq ko 'muhib' saltanat-e-har-do-jahan hai

    gar yar ke kuche ki mayassar ho gadai

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B419 E429)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now