us dasht ka jo rabta hai tishnagi ke sath
us dasht kā jo rābta hai tishnagī ke saath
tū ḳhush rahe duā hai magar ik kamī ke saath
tujh se bichhaḌ ke ham mare to jaañ nahīñ magar
phir kar liye ye fāsle aur zindagī ke saath
DhūñDh ab shajar pahāḌ parinde havā kahīñ
uktā gayā hai aadmī ab aadmī ke saath
vo silsila ajiib thā tanhā.ī kā mirī
sab ke rahe qarīb magar dushmanī ke saath
ronā na dhonā jhagḌā na koī shikāyateñ
vo rishta toḌ bhī gayā to sādgī ke saath
sab sochte rahe ki mohabbat hī chhoḌ dī
pakḌā gayā vo krishn usī bāñsurī ke saath
guzrā jo koī apne bhī ghar phir nahīñ gayā
hai kaun sā ye rishta tirī us galī ke saath
ek ek yaad terī pighaltī hai barf sī
kyā hī maza sharāb kā hai tīrgī ke saath
uTh kar chalā gayā vo kahīñ aur bazm se
achchhā nahīñ huā ye mirī shā.irī ke saath
us dasht ka jo rabta hai tishnagi ke sath
tu KHush rahe dua hai magar ek kami ke sath
tujh se bichhaD ke hum mare to jaan nahin magar
phir kar liye ye fasle aur zindagi ke sath
DhunDh ab shajar pahaD parinde hawa kahin
ukta gaya hai aadmi ab aadmi ke sath
wo silsila ajib tha tanhai ka meri
sab ke rahe qarib magar dushmani ke sath
rona na dhona jhagDa na koi shikayaten
wo rishta toD bhi gaya to sadgi ke sath
sab sochte rahe ki mohabbat hi chhoD di
pakDa gaya wo krishn usi bansuri ke sath
guzra jo koi apne bhi ghar phir nahin gaya
hai kaun sa ye rishta teri us gali ke sath
ek ek yaad teri pighalti hai barf si
kya hi maza sharab ka hai tirgi ke sath
uTh kar chala gaya wo kahin aur bazm se
achchha nahin hua ye meri shairi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.