us dil mein kar guzar jo ye tir-e-ah ulTe
us dil meñ kar guzar jo ye tīr-e-āh ulTe
ik pal meñ sab falak kī ye bārgāh ulTe
muftī-o-shahna qaazī haiñ kushta us nigah ke
phirte hoñ us ke hāthoñ ye dād-ḳhvāh ulTe
ushshāq ke diloñ ko Tuk meñ ulaT palaT de
mukhḌe se gar dupaTTa vo rashk-e-māh ulTe
phirtī hai yuuñ nigāheñ us shoḳh jang-jū kī
pāmāl kar ke jaise koī sipāh ulTe
us dil mein kar guzar jo ye tir-e-ah ulTe
ek pal mein sab falak ki ye bargah ulTe
mufti-o-shahna qazi hain kushta us nigah ke
phirte hon us ke hathon ye dad-KHwah ulTe
ushshaq ke dilon ko Tuk mein ulaT palaT de
mukhDe se gar dupaTTa wo rashk-e-mah ulTe
phirti hai yun nigahen us shoKH jang-ju ki
pamal kar ke jaise koi sipah ulTe
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 87)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.