us ghaDi kuchh the aur ab kuchh ho
us ghaḌī kuchh the aur ab kuchh ho
kyā tamāshā ho tum ajab kuchh ho
mujh ko kuchh dil par iḳhtiyār nahīñ
tumhīñ is ghar ke ab to sab kuchh ho
kuchh nahīñ baat tis pe ye bāteñ
qahr karte ho tum ġhazab kuchh ho
bahut kī sharm thoḌī sī pī kar
us ke rakhtā huuñ lab pe lab kuchh ho
ishq-bāzī nahīñ 'razā'-bāzī
pahle jāñ-bāzī kiije jab kuchh ho
us ghaDi kuchh the aur ab kuchh ho
kya tamasha ho tum ajab kuchh ho
mujh ko kuchh dil par iKHtiyar nahin
tumhin is ghar ke ab to sab kuchh ho
kuchh nahin baat tis pe ye baaten
qahr karte ho tum ghazab kuchh ho
bahut ki sharm thoDi si pi kar
us ke rakhta hun lab pe lab kuchh ho
ishq-bazi nahin 'raza'-bazi
pahle jaan-bazi kije jab kuchh ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.