us gul se kuchh hijab hamein darmiyan na tha
us gul se kuchh hijab hamein darmiyan na tha
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
us gul se kuchh hijāb hameñ darmiyāñ na thā
jis din ki ye bahār na thī gulsitāñ na thā
dām-o-qafas se chhūT ke pahuñche jo baaġh tak
dekhā to is zamīñ meñ chaman kā nishāñ na thā
ye qumriyāñ jo sarv kī āshiq huiiñ magar
duniyā meñ aur koī sajīlā javāñ na thā
kyuuñ kar milī ho gul se jo aatī ho ḳhush-dimāġh
ai bulbuloñ chaman meñ magar bāġhbāñ na thā
lāchār le dil apnā gayā gor meñ 'yaqīñ'
is jins kā jahāñ meñ koī qadr-dāñ na thā
us gul se kuchh hijab hamein darmiyan na tha
jis din ki ye bahaar na thi gulsitan na tha
dam-o-qafas se chhuT ke pahunche jo bagh tak
dekha to is zamin mein chaman ka nishan na tha
ye qumriyan jo sarw ki aashiq huin magar
duniya mein aur koi sajila jawan na tha
kyun kar mili ho gul se jo aati ho KHush-dimagh
ai bulbulon chaman mein magar baghban na tha
lachaar le dil apna gaya gor mein 'yaqin'
is jins ka jahan mein koi qadr-dan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.