us hasin ka KHayal hai dil mein
us hasīñ kā ḳhayāl hai dil meñ
jis kā aanā muhāl hai dil meñ
kyuuñ na dil is ḳhayāl se ḳhush ho
ki tumhārā ḳhayāl hai dil meñ
kyā kare rah ke vo ḳhadañg-e-nigāh
ab lahū kā bhī kaal hai dil meñ
jaa.e tañg ast mardumāñ bisyār
hasratoñ kā ye haal hai dil meñ
'nūh' go muñh se kuchh nahīñ kahte
un ko tum se malāl hai dil meñ
us hasin ka KHayal hai dil mein
jis ka aana muhaal hai dil mein
kyun na dil is KHayal se KHush ho
ki tumhaara KHayal hai dil mein
kya kare rah ke wo KHadang-e-nigah
ab lahu ka bhi kal hai dil mein
jae tang ast marduman bisyar
hasraton ka ye haal hai dil mein
'nuh' go munh se kuchh nahin kahte
un ko tum se malal hai dil mein
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 143)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.