us jabin par jo bal paDe shayad
us jabīñ par jo bal paḌe shāyad
ye kaleja nikal paḌe shāyad
saañs rukne lagī hai siine meñ
tum kaho to ye chal paḌe shāyad
zabt se laal ho ga.iiñ āñkheñ
ek chashma ubal paḌe shāyad
ek bujhtā diyā mohabbat kā
tere milne se jal paḌe shāyad
baat ab jo tumheñ batānī hai
dil tumhārā uchhal paḌe shāyad
āñsuoñ se dhulī huī āñkheñ
dekh kar vo machal paḌe shāyad
baiTh kar baat kyuuñ nahīñ karte
koī sūrat nikal paḌe shāyad
be-ruḳhī se nahīñ karo ruḳhsat
rāste meñ ajal paḌe shāyad
us jabin par jo bal paDe shayad
ye kaleja nikal paDe shayad
sans rukne lagi hai sine mein
tum kaho to ye chal paDe shayad
zabt se lal ho gain aankhen
ek chashma ubal paDe shayad
ek bujhta diya mohabbat ka
tere milne se jal paDe shayad
baat ab jo tumhein batani hai
dil tumhaara uchhal paDe shayad
aansuon se dhuli hui aankhen
dekh kar wo machal paDe shayad
baiTh kar baat kyun nahin karte
koi surat nikal paDe shayad
be-ruKHi se nahin karo ruKHsat
raste mein ajal paDe shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.