us jaisa yahan koi bhi fankar nahin hai
us jaisā yahāñ koī bhī fankār nahīñ hai
qātil hai magar haath meñ talvār nahīñ hai
uThūñgā magar sub.h to hone de muazzin
sone ke liye niiñd bhī darkār nahīñ hai
yuuñ hai ki faqat dekh ke hotī hai tasallī
ma.amūlī koī naqsh yā dīvār nahīñ hai
dard-e-dil-e-majrūh koī samjhe to kaise
is shahr meñ mujh sā koī bīmār nahīñ hai
hāthoñ meñ liye haath guzarte rahe ham do
phir jā ke huā ilm mujhe pyaar nahīñ hai
tasvīr tirī aañkh milātī rahī din bhar
par haath milāne ko ye tayyār nahīñ hai
us jaisa yahan koi bhi fankar nahin hai
qatil hai magar hath mein talwar nahin hai
uThunga magar subh to hone de muazzin
sone ke liye nind bhi darkar nahin hai
yun hai ki faqat dekh ke hoti hai tasalli
mamuli koi naqsh ya diwar nahin hai
dard-e-dil-e-majruh koi samjhe to kaise
is shahr mein mujh sa koi bimar nahin hai
hathon mein liye hath guzarte rahe hum do
phir ja ke hua ilm mujhe pyar nahin hai
taswir teri aankh milati rahi din bhar
par hath milane ko ye tayyar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.