us ka aaghaz hua jaane kahan se pahle
us kā āġhāz huā jaane kahāñ se pahle
ek allāh thā taḳhlīq-e-jahāñ se pahle
dekhiye izn-e-sahar hogā kahāñ se pahle
shankh-dhun se ki muazzin kī azaañ se pahle
dil meñ ik aag sī thī ashk-e-ravāñ se pahle
huī ulfat kī shurūāt yahāñ se pahle
un ke laḌne meñ bhī hai sulh kā pahlū ai dil
lāzmī jang bhī hai amn-o-amāñ se pahle
haal kyā pūchhte ho mujh se mirā chāragaro
dil meñ ik dard sā thā soz-e-nihāñ se pahle
ab nahīñ koī bhī armān mire is dil meñ
luT gayā hai ye chaman bād-e-ḳhizāñ se pahle
vo haiñ maġhrūr udhar ham bhī haiñ ḳhud.dār idhar
dekhiye hogī shurūāt kahāñ se pahle
sher mauqūf nahīñ lafz-o-bayāñ par 'gauhar'
koī mazmūn bhī to lafz-e-bayāñ se pahle
us ka aaghaz hua jaane kahan se pahle
ek allah tha taKHliq-e-jahan se pahle
dekhiye izn-e-sahar hoga kahan se pahle
shankh-dhun se ki muazzin ki azan se pahle
dil mein ek aag si thi ashk-e-rawan se pahle
hui ulfat ki shuruat yahan se pahle
un ke laDne mein bhi hai sulh ka pahlu ai dil
lazmi jang bhi hai amn-o-aman se pahle
haal kya puchhte ho mujh se mera chaaragaro
dil mein ek dard sa tha soz-e-nihan se pahle
ab nahin koi bhi arman mere is dil mein
luT gaya hai ye chaman baad-e-KHizan se pahle
wo hain maghrur udhar hum bhi hain KHuddar idhar
dekhiye hogi shuruat kahan se pahle
sher mauquf nahin lafz-o-bayan par 'gauhar'
koi mazmun bhi to lafz-e-bayan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.