us ka aana sawab jaisa hai
us kā aanā savāb jaisā hai
aur jaanā azaab jaisā hai
mujh ko paḌhne kā shauq bachpan se
us kā chehra kitāb jaisā hai
ek chehra nazar meñ hai merī
jo mire intiḳhāb jaisā hai
ek nasha sā hai us kī āñkhoñ meñ
zā.iqa bhī sharāb jaisā hai
mujh ko mil jaa.e koī shahzāda
vo jo āñkhoñ meñ ḳhvāb jaisā hai
hoñge mash.hūr naam se us ke
naam us ka ḳhitāb jaisā hai
us ko fursat nahīñ mohabbat kī
ḳhair chhoḌo janāb jaisā hai
maut manzūr us ke hāthoñ se
us kā ḳhanjar gulāb jaisā hai
qissa-e-ishq 'nūr' merā bhī
lailā majnūñ ke baab jaisā hai
us ka aana sawab jaisa hai
aur jaana azab jaisa hai
mujh ko paDhne ka shauq bachpan se
us ka chehra kitab jaisa hai
ek chehra nazar mein hai meri
jo mere intiKHab jaisa hai
ek nasha sa hai us ki aankhon mein
zaiqa bhi sharab jaisa hai
mujh ko mil jae koi shahzada
wo jo aankhon mein KHwab jaisa hai
honge mashhur nam se us ke
nam us ka KHitab jaisa hai
us ko fursat nahin mohabbat ki
KHair chhoDo janab jaisa hai
maut manzur us ke hathon se
us ka KHanjar gulab jaisa hai
qissa-e-ishq 'nur' mera bhi
laila majnun ke bab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.