us ka ab intizar kya kije
us kā ab intizār kyā kiije
aañkh ko ashk-bār kyā kiije
bevafā bhī hai be-muravvat bhī
us kā ab e.atibār kyā kiije
ġhunche pazhmurda gul haiñ afsurda
le ke vo lāla-zār kyā kiije
bevafā.ī pe ḳhud hai nādim jab
us ko ab sharmsār kyā kiije
bhuul jaanā use thā kab mushkil
dil hai be-iḳhtiyār kyā kiije
vaz.a-dārī mirī ki dushman par
intiqāman bhī vaar kyā kiije
bū-e-gul bhī 'nadīm' hai masmūm
e'timād-e-bahār kyā kiije
us ka ab intizar kya kije
aankh ko ashk-bar kya kije
bewafa bhi hai be-murawwat bhi
us ka ab eatibar kya kije
ghunche pazhmurda gul hain afsurda
le ke wo lala-zar kya kije
bewafai pe KHud hai nadim jab
us ko ab sharmsar kya kije
bhul jaana use tha kab mushkil
dil hai be-iKHtiyar kya kije
waza-dari meri ki dushman par
intiqaman bhi war kya kije
bu-e-gul bhi 'nadim' hai masmum
e'timad-e-bahaar kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.