us ka badan hai dhup se aur dil ghaTaon se
us kā badan hai dhuup se aur dil ghaTāoñ se
aise ḳhamīr uThtā hai do intihāoñ se
jo zo'm-e-‘ishq le ke chale haiñ huzūr-e-husn
merī taraf se tā’ziyat un sab kī maaoñ se
vo deviyāñ bhī raunaq-e-bāzār ho ga.iiñ
apnī nigāh uThtī na thī jin ke paañv se
razzāq kaun apnā sarāpā hī rizq hai
chhīnegā kyā ridā koī ham be-ridāoñ se
aapas meñ iḳhtiyār badalne kā band-o-bast
thā aur phir parī na milī devtāoñ se
ab to vahāñ na maañ hai na vo bazm-e-dil-barāñ
yā'nī bachā hī kyā hai ki raġhbat ho gaaoñ se
us ka badan hai dhup se aur dil ghaTaon se
aise KHamir uThta hai do intihaon se
jo zo'm-e-‘ishq le ke chale hain huzur-e-husn
meri taraf se ta’ziyat un sab ki maon se
wo dewiyan bhi raunaq-e-bazar ho gain
apni nigah uThti na thi jin ke panw se
razzaq kaun apna sarapa hi rizq hai
chhinega kya rida koi hum be-ridaon se
aapas mein iKHtiyar badalne ka band-o-bast
tha aur phir pari na mili dewtaon se
ab to wahan na man hai na wo bazm-e-dil-baran
ya'ni bacha hi kya hai ki raghbat ho gaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.