us ka chehra bhi sunata hai kahani uski
us kā chehra bhī sunātā hai kahānī us kī
chāhtī huuñ ki sunūñ us se zabānī us kī
vo sitamgar hai to ab us se shikāyat kaisī
aur sitam karnā bhī aadat hai purānī us kī
besh-qīmat hai ye motī se mirī palkoñ par
chand aañsū haiñ mire paas nishānī us kī
us jafā-kār ko ma.alūm nahīñ vo kyā hai
be-muravvat ko hai tasvīr dikhānī us kī
ek vo hai nazar-andāz kare hai mujh ko
ek maiñ huuñ ki dil o jaañ se divānī us kī
tum ko ulfat hai 'qamar' us se to ab kah denā
sāmne sab ke sunā denā kahānī us kī
us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki
chahti hun ki sunun us se zabani us ki
wo sitamgar hai to ab us se shikayat kaisi
aur sitam karna bhi aadat hai purani us ki
besh-qimat hai ye moti se meri palkon par
chand aansu hain mere pas nishani us ki
us jafa-kar ko malum nahin wo kya hai
be-murawwat ko hai taswir dikhani us ki
ek wo hai nazar-andaz kare hai mujh ko
ek main hun ki dil o jaan se diwani us ki
tum ko ulfat hai 'qamar' us se to ab kah dena
samne sab ke suna dena kahani us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.