us ka chehra hai ki bhula hua manzar jaise
us kā chehra hai ki bhūlā huā manzar jaise
merī āñkhoñ meñ ye aañsū bhī haiñ patthar jaise
ek saaya mire qadmoñ se lipaT jaatā hai
shaam hote hī mirī chhat se utar kar jaise
sāhil-e-dil pe paTaḳhtā hai bahut sar apnā
rāt-bhar tere ḳhayāloñ kā samundar jaise
ye alag baat ki dekhā nahīñ us ko ab tak
phir bhī rahtā hai mire saath vo aksar jaise
ghanTiyāñ bajtī haiñ ab zehn ke darvāze par
masjideñ Tuut rahī hoñ mire andar jaise
zindagī qaid huuñ maiñ apne badan ke andar
aur bulātā hai koī jism se bāhar jaise
us ka chehra hai ki bhula hua manzar jaise
meri aankhon mein ye aansu bhi hain patthar jaise
ek saya mere qadmon se lipaT jata hai
sham hote hi meri chhat se utar kar jaise
sahil-e-dil pe paTaKHta hai bahut sar apna
raat-bhar tere KHayalon ka samundar jaise
ye alag baat ki dekha nahin us ko ab tak
phir bhi rahta hai mere sath wo aksar jaise
ghanTiyan bajti hain ab zehn ke darwaze par
masjiden Tut rahi hon mere andar jaise
zindagi qaid hun main apne badan ke andar
aur bulata hai koi jism se bahar jaise
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 84)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 84)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.