us ka daman chhuT gaya
us kā dāman chhūT gayā
dil kā sahārā TuuT gayā
samjhe jis ko rahbar-e-amn
vo hī sukūñ bhī luuT gayā
mujh se vo haiñ rūThe rūThe
merā muqaddar phuuT gayā
choT nazar kī sah na sakā
dil kā shīsha TuuT gayā
rukte nahīñ haiñ bahte ashk
band-e-dariyā TuuT gayā
rahtā hai vo mere dil meñ
kis ne kahā hai chhūT gayā
tirchhī nazar se yuuñ dekhā
haath se sāġhar chhūT gayā
mil na sakī us kī chaukhaT
paañv kā chhālā phuuT gayā
ashk to koī Tapkā nahīñ
shāyad taarā TuuT gayā
chupke se chheḌā us ne 'fazā'
phoḌā dil kā phuuT gayā
us ka daman chhuT gaya
dil ka sahaara TuT gaya
samjhe jis ko rahbar-e-amn
wo hi sukun bhi luT gaya
mujh se wo hain ruThe ruThe
mera muqaddar phuT gaya
choT nazar ki sah na saka
dil ka shisha TuT gaya
rukte nahin hain bahte ashk
band-e-dariya TuT gaya
rahta hai wo mere dil mein
kis ne kaha hai chhuT gaya
tirchhi nazar se yun dekha
hath se saghar chhuT gaya
mil na saki us ki chaukhaT
panw ka chhaala phuT gaya
ashk to koi Tapka nahin
shayad tara TuT gaya
chupke se chheDa us ne 'faza'
phoDa dil ka phuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.