us ka gham KHud-kafil hote hue
us kā ġham ḳhud-kafīl hote hue
ik fasāna tavīl hote hue
us ko chāhat samundaroñ kī hai
aur maiñ dariyā se jhiil hote hue
vaqt paḌne pe jaane kis kis ko
maiñ ne dekhā baḳhīl hote hue
kab se ḳhvāhish hai maiñ kabhī dekhūñ
sang-e-rah sang-e-mīl hote hue
kaisā ye daur hai ki jhūToñ kā
lafz har ik dalīl hote hue
'ishq lauh-e-fanā ke chakkar meñ
rūh-e-insāñ ‘alīl hote hue
dil kā sahrā hai kab se tishna 'jamāl'
paas dariyā-e-nīl hote hue
us ka gham KHud-kafil hote hue
ek fasana tawil hote hue
us ko chahat samundaron ki hai
aur main dariya se jhil hote hue
waqt paDne pe jaane kis kis ko
main ne dekha baKHil hote hue
kab se KHwahish hai main kabhi dekhun
sang-e-rah sang-e-mil hote hue
kaisa ye daur hai ki jhuTon ka
lafz har ek dalil hote hue
'ishq lauh-e-fana ke chakkar mein
ruh-e-insan ‘alil hote hue
dil ka sahra hai kab se tishna 'jamal'
pas dariya-e-nil hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.