us ka hona bhi na hone jaisa
us kā honā bhī na hone jaisā
kaisā paanā ki hai khone jaisā
baañs ke paañv lagā rakkhe haiñ
vaise qad us kā hai baune jaisā
ik ajab ālam-e-be-ḳhvābī hai
jāgne jaisā na sone jaisā
niiñd pariyoñ kī uḌānoñ jaisī
ḳhvāb bachchoñ ke khilaune jaisā
mo.atakif hone ko DhūñDūñ gosha
haram-e-pāk ke kone jaisā
kār-e-dushvār koī yuuñ bhī na ho
uñgliyāñ ḳhuuñ meñ Dubone jaisā
zindagī bhar kī kamā.ī Thahrā
ek ehsās ke khone jaisā
us ka hona bhi na hone jaisa
kaisa pana ki hai khone jaisa
bans ke panw laga rakkhe hain
waise qad us ka hai baune jaisa
ek ajab aalam-e-be-KHwabi hai
jagne jaisa na sone jaisa
nind pariyon ki uDanon jaisi
KHwab bachchon ke khilaune jaisa
moatakif hone ko DhunDun gosha
haram-e-pak ke kone jaisa
kar-e-dushwar koi yun bhi na ho
ungliyan KHun mein Dubone jaisa
zindagi bhar ki kamai Thahra
ek ehsas ke khone jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.