us ka KHayal dil mein ghaDi do ghaDi rahe
us kā ḳhayāl dil meñ ghaḌī do ghaḌī rahe
phir is ke ba.ad mez pe chaa.e paḌī rahe
aisā nahīñ ki ham kareñ bāteñ na be-hisāb
lekin ye kyā ki kiil sī dil meñ gaḌī rahe
phir ghar meñ ek āhanī piñjra dikhā.ī de
khiḌkī meñ kaafī der jo laḌkī khaḌī rahe
bikhrī ho jaise chāñdnī barg-e-gulāb par
muskān us ke hoñToñ pe aaise paḌī rahe
dil meñ ḳhushī ke phūTte yūñhī raheñ anaar
terī hañsī kī yūñhī sadā phuljaḌī rahe
khiḌkī to 'shāz' band maiñ kartā huuñ baar baar
lekin havā-e-shauq ki zid par aḌī rahe
us ka KHayal dil mein ghaDi do ghaDi rahe
phir is ke baad mez pe chae paDi rahe
aisa nahin ki hum karen baaten na be-hisab
lekin ye kya ki kil si dil mein gaDi rahe
phir ghar mein ek aahani pinjra dikhai de
khiDki mein kafi der jo laDki khaDi rahe
bikhri ho jaise chandni barg-e-gulab par
muskan us ke honTon pe aaise paDi rahe
dil mein KHushi ke phuTte yunhi rahen anar
teri hansi ki yunhi sada phuljaDi rahe
khiDki to 'shaz' band main karta hun bar bar
lekin hawa-e-shauq ki zid par aDi rahe
- Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.