us ka lahja karaKHt hota gaya
us kā lahja karaḳht hotā gayā
dil hamārā bhī saḳht hotā gayā
zaḳhm kā ek nanhā sā paudā
rafta rafta daraḳht hotā gayā
thā safar yuuñ to be-sar-o-sāmāñ
shauq-e-manzil hī raḳht hotā gayā
rahbarī kā har ik alam-bardār
ḳhūgar-e-tāj-o-taḳht hotā gayā
terī ḳhātir sameT kar rakkhā
dil magar laḳht laḳht hotā gayā
ishq meñ jis maqām se guzre
marhala aur saḳht hotā gayā
jis ne dekhe the ḳhvāb ujāloñ ke
vo 'suḳhan' tīra-baḳht hotā gayā
us ka lahja karaKHt hota gaya
dil hamara bhi saKHt hota gaya
zaKHm ka ek nanha sa pauda
rafta rafta daraKHt hota gaya
tha safar yun to be-sar-o-saman
shauq-e-manzil hi raKHt hota gaya
rahbari ka har ek alam-bardar
KHugar-e-taj-o-taKHt hota gaya
teri KHatir sameT kar rakkha
dil magar laKHt laKHt hota gaya
ishq mein jis maqam se guzre
marhala aur saKHt hota gaya
jis ne dekhe the KHwab ujalon ke
wo 'suKHan' tira-baKHt hota gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.