us ka lahja kitab jaisa hai
us kā lahja kitāb jaisā hai
aur vo ḳhud gulāb jaisā hai
dhuup ho chāñdnī ho bārish ho
ek chehra ki ḳhvāb jaisā hai
be-hunar shohratoñ ke jañgal meñ
sañg bhī āftāb jaisā hai
bhuul jāoge ḳhāl-o-ḳhad apne
aa.ina bhī sarāb jaisā hai
vasl ke rañg bhī badalte the
hijr bhī inqalāb jaisā hai
yaad rakhnā bhī tujh ko sahl na thā
bhūlnā bhī azaab jaisā hai
be-sitāra hai āsmāñ tujh bin
aur samundar sarāb jaisā hai
us ka lahja kitab jaisa hai
aur wo KHud gulab jaisa hai
dhup ho chandni ho barish ho
ek chehra ki KHwab jaisa hai
be-hunar shohraton ke jangal mein
sang bhi aaftab jaisa hai
bhul jaoge KHal-o-KHad apne
aaina bhi sarab jaisa hai
wasl ke rang bhi badalte the
hijr bhi inqalab jaisa hai
yaad rakhna bhi tujh ko sahl na tha
bhulna bhi azab jaisa hai
be-sitara hai aasman tujh bin
aur samundar sarab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.