us ka neza tha aur mera sar tha
us kā neza thā aur mirā sar thā
aur ik ḳhush-gavār manzar thā
kitnī āñkhoñ se ho ke guzrā vo
ik tamāsha jo sirf pal bhar thā
dil ke rishtoñ kī baat karte ho
ek shīsha thā ek patthar thā
uñgliyoñ ke nishān bol paḌe
kaun qātil thā kis kā ḳhanjar thā
ham usūloñ kī baat karte rahe
aur vo thā ki apnī zid par thā
us ka neza tha aur mera sar tha
aur ek KHush-gawar manzar tha
kitni aankhon se ho ke guzra wo
ek tamasha jo sirf pal bhar tha
dil ke rishton ki baat karte ho
ek shisha tha ek patthar tha
ungliyon ke nishan bol paDe
kaun qatil tha kis ka KHanjar tha
hum usulon ki baat karte rahe
aur wo tha ki apni zid par tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.