us ka rutba har ek shaKHs se baala hai
us ka rutba har ek shaKHs se baala hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
us kā rutba har ik shaḳhs se baalā hai
jis ke lab par tere naam kī maalā hai
dastak dene vaale tujh ko ilm nahīñ
darvāze kī donoñ jānib taalā hai
kis ke ġham meñ phuul jhulasne lagte haiñ
kaun yahāñ pe kaliyāñ toḌne vaalā hai
kis kī aamad par ḳhushbueñ phuuT paḌīñ
merī bastī meñ har samt ujālā hai
hamdardī kis shaḳhs ko merī zaat se hai
kaun mirī tanhā.ī bāñTne vaalā hai
tum ne mujh ko chhoḌ diyā hai tan-e-tanhā
niilī chhat vaalā merā rakhvālā hai
mujh ko gar pahchān nahīñ paa.e ho tum
maiñ ne apnā sab kuchh sher meñ Dhālā hai
baiThā hai munDer pe aa kar muddat se
tū ne jis panchhī ko daana Daalā hai
us būḌhī kā haal nahīñ batlā saktā
jis ne ḳhuun jigar kā de kar paalā hai
kis ko maiñ mīrās atā kar saktā huuñ
kaun mire dukh-dard sañbhālne vaalā hai
us ka rutba har ek shaKHs se baala hai
jis ke lab par tere nam ki mala hai
dastak dene wale tujh ko ilm nahin
darwaze ki donon jaanib tala hai
kis ke gham mein phul jhulasne lagte hain
kaun yahan pe kaliyan toDne wala hai
kis ki aamad par KHushbuen phuT paDin
meri basti mein har samt ujala hai
hamdardi kis shaKHs ko meri zat se hai
kaun meri tanhai banTne wala hai
tum ne mujh ko chhoD diya hai tan-e-tanha
nili chhat wala mera rakhwala hai
mujh ko gar pahchan nahin pae ho tum
main ne apna sab kuchh sher mein Dhaala hai
baiTha hai munDer pe aa kar muddat se
tu ne jis panchhi ko dana Dala hai
us buDhi ka haal nahin batla sakta
jis ne KHun jigar ka de kar pala hai
kis ko main miras ata kar sakta hun
kaun mere dukh-dard sanbhaalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.