us ka tabassum us ka tarannum uski tajalli pae to
us ka tabassum us ka tarannum uski tajalli pae to
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
us kā tabassum us kā tarannum us kī tajallī paa.e to
prem-pujārī prem-nagar tak manzil manzil jaa.e to
nāseh-e-mushfiq tujh ko mubārak kausar-o-jannat hūr-o-malak
ham ko dil se naaz hai is par ham un ke kahlā.e to
zarra zarra is duniyā kā dīda-o-dil rakhtā hai magar
ahl-e-ḳhirad phir chup-chup kyoñ haiñ koī hameñ batlā.e to
suukh rahī hai kyārī kyārī suunā suunā gulshan hai
sabza-o-gul phir raqs kareñge fasl-e-bahārāñ aa.e to
Daalī Daalī jhuum rahī hai ek hue haiñ do dil aaj
un kī merī prem-kahānī kaash amar ho jaa.e to
ham haiñ un ke pūjne vaale nisbat un se rakhte haiñ
phir ye tabāhī kyoñ hai ham par koī hameñ batlā.e to
rind nahīñ do ghūñT jo pī kar bahkī bāteñ karte haiñ
dekhnā merā zarf bhī saaqī rang pe mahfil aa.e to
us ka tabassum us ka tarannum us ki tajalli pae to
prem-pujari prem-nagar tak manzil manzil jae to
naseh-e-mushfiq tujh ko mubarak kausar-o-jannat hur-o-malak
hum ko dil se naz hai is par hum un ke kahlae to
zarra zarra is duniya ka dida-o-dil rakhta hai magar
ahl-e-KHirad phir chup-chup kyon hain koi hamein batlae to
sukh rahi hai kyari kyari suna suna gulshan hai
sabza-o-gul phir raqs karenge fasl-e-bahaaran aae to
Dali Dali jhum rahi hai ek hue hain do dil aaj
un ki meri prem-kahani kash amar ho jae to
hum hain un ke pujne wale nisbat un se rakhte hain
phir ye tabahi kyon hai hum par koi hamein batlae to
rind nahin do ghunT jo pi kar bahki baaten karte hain
dekhna mera zarf bhi saqi rang pe mahfil aae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.