us kam-suKHan ki ab ke guftar dekh lena
us kam-suḳhan kī ab ke guftār dekh lenā
har baat par chalegī talvār dekh lenā
taqlīd kar rahe ho tum jis ke qāfile kī
us mīr-e-kārvāñ kā kirdār dekh lenā
apnī tabī.atoñ ke mālik haiñ ye farishte
inkār dekh lenā iqrār dekh lenā
mutlaq nazar na rakhnā maazī kī laġhzishoñ par
khīñchegā kaun ab ke dīvār dekh lenā
nāzuk mizāj haiñ vo sunte nahīñ kisī kī
rakhte haiñ kyā irāde sarkār dekh lenā
tū kyā hai ai 'rafī.a' ab duniyā ke aa.ine meñ
terā maqām kyā hai aḳhbār dekh lenā
us kam-suKHan ki ab ke guftar dekh lena
har baat par chalegi talwar dekh lena
taqlid kar rahe ho tum jis ke qafile ki
us mir-e-karwan ka kirdar dekh lena
apni tabiaton ke malik hain ye farishte
inkar dekh lena iqrar dekh lena
mutlaq nazar na rakhna mazi ki laghzishon par
khinchega kaun ab ke diwar dekh lena
nazuk mizaj hain wo sunte nahin kisi ki
rakhte hain kya irade sarkar dekh lena
tu kya hai ai 'rafia' ab duniya ke aaine mein
tera maqam kya hai aKHbar dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.