uske andaz pe mera wo luTana dil ka
us ke andāz pe merā vo luTānā dil kā
yaad hai dil ko abhī tak vo zamāna dil kā
vo tirī shoḳh hasīñ nīm-ḳhayālī āñkheñ
kitnā mushkil thā mujhe un se bachānā dil kā
ab tirī baat meñ vo baat nahīñ hai ai dost
ab nahīñ sahl tirī baat meñ aanā dil kā
dil bhī merā na rahā diiñ bhī gayā duniyā bhī
paḌ gayā bhārī mujhe tujh se lagānā dil kā
tere hone se hasīñ hai ye kahānī dil kī
tere hone se hai ābād fasāna dil kā
kaise ham ġhair ko is dil meñ jagah deñ bolo
us kī yādoñ se bharā rahtā hai ḳhāna dil kā
jo mirī ziist kā hāsil hai vahī hai logo
maiñ ne us par hī luTāyā hai ḳhazāna dil kā
kyā hī 'ālam ho mire sāmne vo baiThe hoñ
aur maiñ gā.ūñ sar-e-bazm tarāna dil kā
vo bhī ik vaqt 'sahar' dil pe mire guzrā thā
maiñ ne dekhā thā kabhī daur suhānā dil kā
us ke andaz pe mera wo luTana dil ka
yaad hai dil ko abhi tak wo zamana dil ka
wo teri shoKH hasin nim-KHayali aankhen
kitna mushkil tha mujhe un se bachana dil ka
ab teri baat mein wo baat nahin hai ai dost
ab nahin sahl teri baat mein aana dil ka
dil bhi mera na raha din bhi gaya duniya bhi
paD gaya bhaari mujhe tujh se lagana dil ka
tere hone se hasin hai ye kahani dil ki
tere hone se hai aabaad fasana dil ka
kaise hum ghair ko is dil mein jagah den bolo
us ki yaadon se bhara rahta hai KHana dil ka
jo meri zist ka hasil hai wahi hai logo
main ne us par hi luTaya hai KHazana dil ka
kya hi 'alam ho mere samne wo baiThe hon
aur main gaun sar-e-bazm tarana dil ka
wo bhi ek waqt 'sahar' dil pe mere guzra tha
main ne dekha tha kabhi daur suhana dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.