uske bhi dil mein shayad Dar rahta hai
us ke bhī dil meñ shāyad Dar rahtā hai
jis zālim ke haath meñ ḳhanjar rahtā hai
kar aatī huuñ tab tab jannat kī maiñ sair
jab jab merā sajde meñ sar rahtā hai
hotā hai jis ghar meñ vird darūdoñ kā
rahmat ke saa.e meñ vo ghar rahtā hai
merā dil vīrān karegā kyā koī
mere dil meñ merā dilbar rahtā hai
mil jaatī hai jis ko daulat īmāñ kī
duniyā meñ vo mast-qalandar rahtā hai
chhoTī nadiyoñ kī vaq'at mat kam samjho
in se hī ābād samundar rahtā hai
'momal' is ko dil meñ Dhaal salīqe se
varna to patthar dil patthar rahtā hai
us ke bhi dil mein shayad Dar rahta hai
jis zalim ke hath mein KHanjar rahta hai
kar aati hun tab tab jannat ki main sair
jab jab mera sajde mein sar rahta hai
hota hai jis ghar mein wird darudon ka
rahmat ke sae mein wo ghar rahta hai
mera dil viran karega kya koi
mere dil mein mera dilbar rahta hai
mil jati hai jis ko daulat iman ki
duniya mein wo mast-qalandar rahta hai
chhoTi nadiyon ki waq'at mat kam samjho
in se hi aabaad samundar rahta hai
'momal' is ko dil mein Dhaal saliqe se
warna to patthar dil patthar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.