uske chehre ko dekhta hun main
us ke chehre ko dekhtā huuñ maiñ
aur ik aah khīñchtā huuñ maiñ
paḌhtā rahtā huuñ apne chehre ko
kaun huuñ kyā huuñ sochtā huuñ maiñ
apne maazī kī ḳhasta galiyoñ meñ
us kī yādoñ se kheltā huuñ maiñ
kitne peḌoñ ne mujh ko pūchhā thā
dhuup se roz pūchhtā huuñ maiñ
terī takmīl ho ga.ī lekin
apnā malba sameTtā huuñ maiñ
ai mire sāhil-e-gumān-o-yaqīñ
le tirā haath chhoḌtā huuñ maiñ
us ke chehre ko dekhta hun main
aur ek aah khinchta hun main
paDhta rahta hun apne chehre ko
kaun hun kya hun sochta hun main
apne mazi ki KHasta galiyon mein
us ki yaadon se khelta hun main
kitne peDon ne mujh ko puchha tha
dhup se roz puchhta hun main
teri takmil ho gai lekin
apna malba sameTta hun main
ai mere sahil-e-guman-o-yaqin
le tera hath chhoDta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.