Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske chehre par ajab sa rup tha achchha laga

Sughra Sadaf

uske chehre par ajab sa rup tha achchha laga

Sughra Sadaf

MORE BYSughra Sadaf

    us ke chehre par ajab ruup thā achchhā lagā

    us ḳhushbu-e-badan se rābta achchhā lagā

    lams us ke haath phir hai rag-o-pai meñ ravāñ

    chand lamhoñ ke milan ko sochnā achchhā lagā

    maiñ ne phir dil se kahā us shaḳhs bai'at karo

    vo jo har lamha mujhe achchhā lagā sachchā lagā

    apnī tanhā.ī se kaisī ho ga.ī mānūs maiñ

    aaj apnā ḳhālī ḳhālī ghar baḌā achchhā lagā

    us ne az-rāh-e-takalluf mujh se pūchhā hāl-e-dil

    ye achānak hone vaalā vāqi.a achchhā lagā

    ye jahāñ yak-laḳht kitnā ḳhūbsūrat ho gayā

    tum bahut achchhī ho jab us ne kahā achchhā lagā

    chup chādar taan kar ahl-e-qafas ke vāste

    sūliyoñ par bolne mashvara achchhā lagā

    jis ghaḌī us ne mujhe dekhā nazar bhar ke kabhī

    mujh ko apnā aap bhī us vaqt kyā achchhā lagā

    Darte Darte dostoñ bazm meñ 'suġhrā' 'sadaf'

    ek duuje ko musalsal dekhnā achchhā lagā

    us ke chehre par ajab sa rup tha achchha laga

    us ki KHushbu-e-badan se rabta achchha laga

    lams us ke hath ka phir hai rag-o-pai mein rawan

    chand lamhon ke milan ko sochna achchha laga

    main ne phir dil se kaha us shaKHs ki bai'at karo

    wo jo har lamha mujhe achchha laga sachcha laga

    apni tanhai se kaisi ho gai manus main

    aaj apna KHali KHali ghar baDa achchha laga

    us ne az-rah-e-takalluf mujh se puchha haal-e-dil

    ye achanak hone wala waqia achchha laga

    ye jahan yak-laKHt kitna KHubsurat ho gaya

    tum bahut achchhi ho jab us ne kaha achchha laga

    chup ki chadar tan kar ahl-e-qafas ke waste

    suliyon par bolne ka mashwara achchha laga

    jis ghaDi us ne mujhe dekha nazar bhar ke kabhi

    mujh ko apna aap bhi us waqt kya achchha laga

    Darte Darte doston ki bazm mein 'sughra' 'sadaf'

    ek duje ko musalsal dekhna achchha laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now