uske daman ko sitaron se sajaana hoga
us ke dāman ko sitāroñ se sajānā hogā
āsmāñ ko bhī 'ḳhalish' aaj jhukānā hogā
kisī dil ko jo kisī dil se judā kartī hoñ
aisī dīvāroñ ko ik roz girānā hogā
rāh-e-ulfat ko añdheroñ se sajāne vaalo
kabhī parda in añdheroñ se uThānā hogā
vaqt ke ghor añdheroñ meñ nazar Duub chalī
ab tire pyaar kī sham.oñ ko jalānā hogā
ġham phir aayā hai 'ḳhalish' pyaas bujhāne apnī
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar aaj pilānā hogā
us ke daman ko sitaron se sajaana hoga
aasman ko bhi 'KHalish' aaj jhukana hoga
kisi dil ko jo kisi dil se juda karti hon
aisi diwaron ko ek roz girana hoga
rah-e-ulfat ko andheron se sajaane walo
kabhi parda in andheron se uThana hoga
waqt ke ghor andheron mein nazar Dub chali
ab tere pyar ki shamon ko jalana hoga
gham phir aaya hai 'KHalish' pyas bujhane apni
KHun-e-dil KHun-e-jigar aaj pilana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.