uske dil mein bhi zara si chhaT-paTahaT chhoD den
us ke dil meñ bhī zarā sī chhaT-paTāhaT chhoḌ deñ
jaate jaate us ke dar par apnī aahaT chhoḌ deñ
jām-e-sāqī mai-kade sab chhoḌ to aa.e magar
ye nahīñ mumkin ham apnī laḌkhaḌāhaT chhoḌ deñ
kyā kareñge ham qafas ko chhoḌ kar zer-e-falak
shart jab ye hai ki apnī phaḌphaḌāhaT chhoḌ deñ
chhoḌne ko chhoḌ deñge zindagī bhī shauq se
vo kisī din bas zarā jo hichkichāhaT chhoḌ deñ
kaam ā.eñge yahī bose udāsī ke ḳhilāf
ek duuje ke laboñ par muskurāhaT chhoḌ deñ
us se milne jā rahe haiñ Thiik se tayyār hoñ
ye na ho jaldī meñ apnī haḌbaḌāhaT chhoḌ deñ
'āshnā' ho jā.egā mausam gulābī shahr kā
ham tire aane kī bas jo sugbugāhaT chhoḌ deñ
us ke dil mein bhi zara si chhaT-paTahaT chhoD den
jate jate us ke dar par apni aahaT chhoD den
jam-e-saqi mai-kade sab chhoD to aae magar
ye nahin mumkin hum apni laDkhaDahaT chhoD den
kya karenge hum qafas ko chhoD kar zer-e-falak
shart jab ye hai ki apni phaDphaDahaT chhoD den
chhoDne ko chhoD denge zindagi bhi shauq se
wo kisi din bas zara jo hichkichahaT chhoD den
kaam aaenge yahi bose udasi ke KHilaf
ek duje ke labon par muskurahaT chhoD den
us se milne ja rahe hain Thik se tayyar hon
ye na ho jaldi mein apni haDbaDahaT chhoD den
'ashna' ho jaega mausam gulabi shahr ka
hum tere aane ki bas jo sugbugahaT chhoD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.