uske gham ko gham-e-hasti tu mere dil na bana
us ke ġham ko ġham-e-hastī tū mire dil na banā
ziist mushkil hai use aur bhī mushkil na banā
tū bhī mahdūd na ho mujh ko bhī mahdūd na kar
apne naqsh-e-kaf-e-pā ko mirī manzil na banā
aur baḌh jā.egī vīrānī-e-dil jān-e-jahāñ
merī ḳhalvat-gah-e-ḳhāmosh ko mahfil na banā
dil ke har khel meñ hotā hai bahut jaañ kā ziyāñ
ishq ko ishq samajh mashġhila-e-dil na banā
phir mirī aas bañdhā kar mujhe māyūs na kar
hāsil-e-ġham ko ḳhudārā ġham-e-hāsil na banā
us ke gham ko gham-e-hasti tu mere dil na bana
zist mushkil hai use aur bhi mushkil na bana
tu bhi mahdud na ho mujh ko bhi mahdud na kar
apne naqsh-e-kaf-e-pa ko meri manzil na bana
aur baDh jaegi virani-e-dil jaan-e-jahan
meri KHalwat-gah-e-KHamosh ko mahfil na bana
dil ke har khel mein hota hai bahut jaan ka ziyan
ishq ko ishq samajh mashghila-e-dil na bana
phir meri aas bandha kar mujhe mayus na kar
hasil-e-gham ko KHudara gham-e-hasil na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.