Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske ghamon se dil ko phir aabaad kya karen

Musavvir Lakhnavi

uske ghamon se dil ko phir aabaad kya karen

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    us ke ġhamoñ se dil ko phir ābād kyā kareñ

    jis ko bhulā diyā hai use yaad kyā kareñ

    us ne zulm Dhaa.e haiñ munsif bhī hai vahī

    ham ke us ke sāmne fariyād kyā kareñ

    qaid-e-qafas meñ hai vo magar āshiyāñ se duur

    jab bāl-o-par nahīñ use āzād kyā kareñ

    tāb-e-nazāra hai na majāl-e-kalām hai

    pesh-e-jamāl-e-husn kuchh irshād kyā kareñ

    dāman jab un chhūT gayā apne haath se

    baaqī jo ashk haiñ unheñ barbād kyā kareñ

    miltī thī jis se dād-e-sitam jab vahī nahīñ

    dil bujh gayā hai ab sitam-ījād kyā kareñ

    jab duur the to yaad bhī aate the baar baar

    ab apne sāmne ho tumheñ yaad kyā kareñ

    ham ko satā ke ḳhush vo agar hai to ḳhush rahe

    us ko satā ke ham use nāshād kyā kareñ

    gulshan meñ aane de na giraftār kare

    batā ham aise meñ sayyād kyā kareñ

    duniyā se haT gayā hai 'musavvir' hamārā dil

    barbādiyāñ jo dekhī haiñ irshād kyā kareñ

    us ke ghamon se dil ko phir aabaad kya karen

    jis ko bhula diya hai use yaad kya karen

    us ne hi zulm Dhae hain munsif bhi hai wahi

    hum ja ke us ke samne fariyaad kya karen

    qaid-e-qafas mein hai wo magar aashiyan se dur

    jab baal-o-par nahin use aazad kya karen

    tab-e-nazara hai na majal-e-kalam hai

    pesh-e-jamal-e-husn kuchh irshad kya karen

    daman jab un ka chhuT gaya apne hath se

    baqi jo ashk hain unhen barbaad kya karen

    milti thi jis se dad-e-sitam jab wahi nahin

    dil bujh gaya hai ab sitam-ijad kya karen

    jab dur the to yaad bhi aate the bar bar

    ab apne samne ho tumhein yaad kya karen

    hum ko sata ke KHush wo agar hai to KHush rahe

    us ko sata ke hum use nashad kya karen

    gulshan mein aane de na giraftar hi kare

    tu hi bata hum aise mein sayyaad kya karen

    duniya se haT gaya hai 'musawwir' hamara dil

    barbaadiyan jo dekhi hain irshad kya karen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now